sabr-o-zabt ki jaanan dastan to main bhi hun dastan to tum bhi ho
sabr-o-zabt ki jaanan dastan to main bhi hun dastan to tum bhi ho
Baqa Baluch
MORE BYBaqa Baluch
sabr-o-zabt kī jānāñ dāstāñ to maiñ bhī huuñ dāstāñ to tum bhī ho
apnī apnī azmat kā āsmāñ to maiñ bhī huuñ āsmāñ to tum bhī ho
sāhiloñ kī duurī se sāvanoñ ke mausam meñ kaise Duub sakte the
be-qarār mausam meñ bādbāñ to maiñ bhī huuñ bādbāñ to tum bhī ho
jism apne faanī haiñ jaan apnī faanī hai faanī hai ye duniyā bhī
phir bhī faanī duniyā meñ jāvedāñ to maiñ bhī huuñ jāvedāñ to tum bhī ho
ham ne jo bhī paayā hai ishq ke ḳhazāne se vo hai dafn siine meñ
in dukhoñ kā jān-e-jāñ pāsbāñ to maiñ bhī huuñ pāsbāñ to tum bhī ho
phir purānī rasmeñ haiñ aur phir vahī duniyā darmiyāñ meñ haa.el hai
vaqt aur samay kā tarjumāñ to maiñ bhī huuñ tarjumāñ to tum bhī ho
ham bichhaḌ chuke lekin rasm-o-rāh kī ḳhātir milte rahte haiñ varna
kuchh udaas shāmoñ kā rāz-dāñ to maiñ bhī huuñ rāz-dāñ to tum bhī ho
ek jaisā dariyā hai ek jaisī maujeñ haiñ ek jaisī tuġhyānī
āb-e-ġham kī lahroñ ke darmiyāñ to maiñ bhī huuñ darmiyāñ to tum bhī ho
sabr-o-zabt ki jaanan dastan to main bhi hun dastan to tum bhi ho
apni apni azmat ka aasman to main bhi hun aasman to tum bhi ho
sahilon ki duri se sawanon ke mausam mein kaise Dub sakte the
be-qarar mausam mein baadban to main bhi hun baadban to tum bhi ho
jism apne fani hain jaan apni fani hai fani hai ye duniya bhi
phir bhi fani duniya mein jawedan to main bhi hun jawedan to tum bhi ho
hum ne jo bhi paya hai ishq ke KHazane se wo hai dafn sine mein
in dukhon ka jaan-e-jaan pasban to main bhi hun pasban to tum bhi ho
phir purani rasmen hain aur phir wahi duniya darmiyan mein hael hai
waqt aur samay ka tarjuman to main bhi hun tarjuman to tum bhi ho
hum bichhaD chuke lekin rasm-o-rah ki KHatir milte rahte hain warna
kuchh udas shamon ka raaz-dan to main bhi hun raaz-dan to tum bhi ho
ek jaisa dariya hai ek jaisi maujen hain ek jaisi tughyani
aab-e-gham ki lahron ke darmiyan to main bhi hun darmiyan to tum bhi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.