sabz mausam ki KHabar le ke hawa aai ho
sabz mausam kī ḳhabar le ke havā aa.ī ho
kaam patjhaḌ ke asīroñ kī du'ā aa.ī ho
lauT aa.ī ho vo shab jis ke guzar jaane par
ghaaT se pāyaleñ bajne kī sadā aa.ī ho
isī ummīd meñ har mauj-e-havā ko chūmā
chhū ke shāyad mire pyāroñ kī qabā aa.ī ho
giit jitne likhe un ke liye ai mauj-e-sabā
dil yahī chāhā ki to un ko sunā aa.ī ho
āhaTeñ sirf havāoñ kī hī dastak na baneñ
ab to darvāzoñ pe mānūs sadā aa.ī ho
yuuñ sar-e-'ām khule sar maiñ kahāñ tak baiThūñ
kisī jānib se to ab merī ridā aa.ī ho
jab bhī barsāt ke din aa.e yahī jī chāhā
dhuup ke shahr meñ bhī ghir ke ghaTā aa.ī ho
tere tohfe to sab achchhe haiñ magar mauj-e-bahār
ab ke mere liye ḳhushbū-e-hinā aa.ī ho
sabz mausam ki KHabar le ke hawa aai ho
kaam patjhaD ke asiron ki du'a aai ho
lauT aai ho wo shab jis ke guzar jaane par
ghaT se payalen bajne ki sada aai ho
isi ummid mein har mauj-e-hawa ko chuma
chhu ke shayad mere pyaron ki qaba aai ho
git jitne likhe un ke liye ai mauj-e-saba
dil yahi chaha ki to un ko suna aai ho
aahaTen sirf hawaon ki hi dastak na banen
ab to darwazon pe manus sada aai ho
yun sar-e-'am khule sar main kahan tak baiThun
kisi jaanib se to ab meri rida aai ho
jab bhi barsat ke din aae yahi ji chaha
dhup ke shahr mein bhi ghir ke ghaTa aai ho
tere tohfe to sab achchhe hain magar mauj-e-bahaar
ab ke mere liye KHushbu-e-hina aai ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.