sabz patton ko jo taraste hain
sabz pattoñ ko jo taraste haiñ
un daraḳhtoñ pe kaash phal dekhūñ
ai ġham-e-dil agar ijāzat ho
do-ghaḌī ke liye sañbhal dekhūñ
maiñ ki saa.e ko bhī tarastā huuñ
ḳhvāb meñ nit-nayā mahal dekhūñ
zulm kā zā.iqa to ho mā'lūm
kyuuñ na ik phuul ko masal dekhūñ
shāyad apnā surāġh mil jaa.e
dasht-e-tanhā.ī se nikal dekhūñ
phir sañbhāle nahīñ sañbhaltā dil
us kī jānib jo ek pal dekhūñ
sabz patton ko jo taraste hain
un daraKHton pe kash phal dekhun
ai gham-e-dil agar ijazat ho
do-ghaDi ke liye sanbhal dekhun
main ki sae ko bhi tarasta hun
KHwab mein nit-naya mahal dekhun
zulm ka zaiqa to ho ma'lum
kyun na ek phul ko masal dekhun
shayad apna suragh mil jae
dasht-e-tanhai se nikal dekhun
phir sanbhaale nahin sanbhalta dil
us ki jaanib jo ek pal dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.