sabza mila hai yaad ka mazi ke regzar se
sabza milā hai yaad kā maazī ke regzār se
baaqī haiñ āshnā.iyāñ shāyad abhī bahār se
suntā huuñ ek bāzgasht aatī huī qarīb-tar
lagtī huī javāb sī miltī huī pukār se
tīr-e-nazar bhī tez thā ham bhī hadaf the hoshiyār
aa.e usī ke sāmne bachte hue shikār se
jo bhī hai dil meñ aap ke khul kar batā.iye hameñ
kahte haiñ aap Thiik haiñ rahte haiñ be-qarār se
chārā-garān-e-shahr ko zarre mile jale hue
āḳhir meñ ek raushnī phūTī mire ġhubār se
sabza mila hai yaad ka mazi ke regzar se
baqi hain aashnaiyan shayad abhi bahaar se
sunta hun ek bazgasht aati hui qarib-tar
lagti hui jawab si milti hui pukar se
tir-e-nazar bhi tez tha hum bhi hadaf the hoshiyar
aae usi ke samne bachte hue shikar se
jo bhi hai dil mein aap ke khul kar bataiye hamein
kahte hain aap Thik hain rahte hain be-qarar se
chaara-garan-e-shahr ko zarre mile jale hue
aaKHir mein ek raushni phuTi mere ghubar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.