sach bol ke bachne ki riwayat nahin koi
sach bol ke bachne kī rivāyat nahīñ koī
aur mujh ko shahādat kī zarūrat nahīñ koī
maiñ rizq kī āvāz pe labbaik kahūñgā
haañ mujh ko zamīnoñ se mohabbat nahīñ koī
mere bhī ka.ī ḳhvāb the mere bhī ka.ī azm
hālāt se inkār kī sūrat nahīñ koī
maiñ jis ke liye saare zamāne se ḳhafā thā
ab yuuñ hai ki us naam se nisbat nahīñ koī
lahja hai mirā talḳh mire vaar haiñ bharpūr
lekin mere siine meñ kudūrat nahīñ koī
sach bol ke bachne ki riwayat nahin koi
aur mujh ko shahadat ki zarurat nahin koi
main rizq ki aawaz pe labbaik kahunga
han mujh ko zaminon se mohabbat nahin koi
mere bhi kai KHwab the mere bhi kai azm
haalat se inkar ki surat nahin koi
main jis ke liye sare zamane se KHafa tha
ab yun hai ki us nam se nisbat nahin koi
lahja hai mera talKH mere war hain bharpur
lekin mere sine mein kudurat nahin koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.