sach hai teri hi aarzu mujhko
sach hai terī hī aarzū mujh ko
kahīñ jiine de yūñhī tū mujh ko
banda-e-nau-ḳharīd huuñ har dam
rakhiye āñkhoñ ke rū-ba-rū mujh ko
kal tak us kī talāsh thī lekin
aaj hai apnī justujū mujh ko
pahle vo thā ki tum na the āgāh
ab vo huuñ sun lo kū-ba-kū mujh ko
vaañ shikāyat pe vo hikāyat hai
ki nahīñ jā-e-guftugū mujh ko
ai hayāt-e-do-rozā le aa.ī
kin giraftāriyoñ meñ tū mujh ko
'dāġh' yaksū ho ḳhush nahīñ aatī
nā-umīdāna aarzū mujh ko
sach hai teri hi aarzu mujh ko
kahin jine de yunhi tu mujh ko
banda-e-nau-KHarid hun har dam
rakhiye aankhon ke ru-ba-ru mujh ko
kal tak us ki talash thi lekin
aaj hai apni justuju mujh ko
pahle wo tha ki tum na the aagah
ab wo hun sun lo ku-ba-ku mujh ko
wan shikayat pe wo hikayat hai
ki nahin ja-e-guftugu mujh ko
ai hayat-e-do-roza le aai
kin giraftariyon mein tu mujh ko
'dagh' yaksu ho KHush nahin aati
na-umidana aarzu mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.