sach ka lamha jab bhi nazil hota hai
sach kā lamha jab bhī nāzil hotā hai
kitnī uljhan meñ apnā dil hotā hai
merī ḳhushī kā bhed hai bas ye sab kā dukh
mere apne dukh meñ shāmil hotā hai
ilm kī mere yaar sanad pahchān nahīñ
bahut paḌhā likkhā bhī jāhil hotā hai
sayyad-zāde dil māñgo yā dād-e-hunar
saa.il to har haal meñ saa.il hotā hai
biit ga.ī jab umr to ye mālūm huā
ek ishāra umr kā hāsil hotā hai
ek hañsī lāchārī ko kuchh aur baḌhā.e
ek hañsī se dushman ghā.il hotā hai
ai mire dil ai achchhe dil ai ḳhāna-ḳharāb
tū kyuuñ har takrār meñ shāmil hotā hai
sah leñ ham duniyā ke sitam 'shāhīn' magar
ziddī dil har aan muqābil hotā hai
sach ka lamha jab bhi nazil hota hai
kitni uljhan mein apna dil hota hai
meri KHushi ka bhed hai bas ye sab ka dukh
mere apne dukh mein shamil hota hai
ilm ki mere yar sanad pahchan nahin
bahut paDha likkha bhi jahil hota hai
sayyad-zade dil mango ya dad-e-hunar
sail to har haal mein sail hota hai
bit gai jab umr to ye malum hua
ek ishaara umr ka hasil hota hai
ek hansi lachaari ko kuchh aur baDhae
ek hansi se dushman ghail hota hai
ai mere dil ai achchhe dil ai KHana-KHarab
tu kyun har takrar mein shamil hota hai
sah len hum duniya ke sitam 'shahin' magar
ziddi dil har aan muqabil hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.