sach kahen aap se hum pyar nahin karte hain
sach kaheñ aap se ham pyaar nahīñ karte haiñ
is liye ishq kā iz.hār nahīñ karte haiñ
yaad rakhnā ki samundar meñ safar se pahle
nāḳhudā se kabhī takrār nahīñ karte haiñ
āñkhoñ ko tere sivā koī nahīñ bhātā hai
so kisī aur kā dīdār nahīñ karte haiñ
piine ke baad meñ vo yaad nahīñ aatī hai
is liye piine se inkār nahīñ karte haiñ
jo bhī haiñ jaise bhī haiñ sāmne dushman ke haiñ
piiTh ke pīchhe se ham vaar nahīñ karte haiñ
sach kahen aap se hum pyar nahin karte hain
is liye ishq ka izhaar nahin karte hain
yaad rakhna ki samundar mein safar se pahle
naKHuda se kabhi takrar nahin karte hain
aankhon ko tere siwa koi nahin bhata hai
so kisi aur ka didar nahin karte hain
pine ke baad mein wo yaad nahin aati hai
is liye pine se inkar nahin karte hain
jo bhi hain jaise bhi hain samne dushman ke hain
piTh ke pichhe se hum war nahin karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.