sach ki sada jab aati hai
sach kī sadā jab aatī hai
ḳhāmoshī chhā jaatī hai
Dūbne lagtī hai naao
nadiyā shor machātī hai
us kī yaad kī purvā.ī
kitne phuul khilātī hai
ishq kī ye āzād-ravī
zanjīreñ pahnātī hai
aaj bhī terī dīvānī
terī hī kahlātī hai
haule se chaltī hai nasīm
yaad kisī kī aatī hai
shaam ke gesū khulte hī
tanhā.ī baḌh jaatī hai
milnā roz nahīñ achchhā
aadat sī paḌ jaatī hai
rafta-rafta 'nāzish' umr
afsāna ban jaatī hai
sach ki sada jab aati hai
KHamoshi chha jati hai
Dubne lagti hai nao
nadiya shor machati hai
us ki yaad ki purwai
kitne phul khilati hai
ishq ki ye aazad-rawi
zanjiren pahnati hai
aaj bhi teri diwani
teri hi kahlati hai
haule se chalti hai nasim
yaad kisi ki aati hai
sham ke gesu khulte hi
tanhai baDh jati hai
milna roz nahin achchha
aadat si paD jati hai
rafta-rafta 'nazish' umr
afsana ban jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.