sach-much apne ranjhe ko hi ghail kar ke chhoD diya
sach-much apne ranjhe ko hi ghail kar ke chhoD diya
Gyanendra Vikram
MORE BYGyanendra Vikram
sach-much apne rāñjhe ko hī ghā.il kar ke chhoḌ diyā
achchhā-ḳhāsā laḌkā tū ne pāgal kar ke chhoḌ diyā
rut aa.e rut jaa.e bairan har mausam meñ barsī haiñ
tere ġham ne in āñkhoñ ko bādal kar ke chhoḌ diyā
koī Tik kar kab rahtā hai duniyā aatī jaatī hai
tere jaane ne to mujh ko qaa.il kar ke chhoḌ diyā
itnā ḳhālī ho baiThā huuñ sab kī dhun par bajtā huuñ
ya.anī tū ne mujh ko apnī paa.el kar ke chhoḌ diyā
mālik sab ko detā hai par merī jholī ḳhālī hai
qismat ne bhī mujh ko puurā saa.il kar ke chhoḌ diyā
sote jagte jo bhī dekhūñ terā chehra dikhtā hai
lailā ne majnūñ ko kitnā bekal kar ke chhoḌ diyā
sach-much apne ranjhe ko hi ghail kar ke chhoD diya
achchha-KHasa laDka tu ne pagal kar ke chhoD diya
rut aae rut jae bairan har mausam mein barsi hain
tere gham ne in aankhon ko baadal kar ke chhoD diya
koi Tik kar kab rahta hai duniya aati jati hai
tere jaane ne to mujh ko qail kar ke chhoD diya
itna KHali ho baiTha hun sab ki dhun par bajta hun
yani tu ne mujh ko apni pael kar ke chhoD diya
malik sab ko deta hai par meri jholi KHali hai
qismat ne bhi mujh ko pura sail kar ke chhoD diya
sote jagte jo bhi dekhun tera chehra dikhta hai
laila ne majnun ko kitna bekal kar ke chhoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.