Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sach to ye hai ki dida-war ho tum

Raz Chandpuri

sach to ye hai ki dida-war ho tum

Raz Chandpuri

MORE BYRaz Chandpuri

    sach to ye hai ki dīda-var ho tum

    be-ḳhabar ham haiñ bā-ḳhabar ho tum

    vāqif-e-rāz-e-ḳhair-o-shar ho tum

    ḳhush-ḳhayāl aur ḳhush-nazar ho tum

    āshnā-e-rumūz-e-kun-fa-yakun

    rāz-e-hastī se bā-ḳhabar ho tum

    jis se raushan hai matl.a-e-ummīd

    shām-e-ġhurbat meñ vo sahar ho tum

    kaun hai ye harīf-e-sho.ala-e-tūr

    ai maiñ qurbān jalva-gar ho tum

    dasht-e-ġhurbat meñ rāh-e-hastī meñ

    maiñ samajhtā huuñ ham-safar ho tum

    ek nisbat hai nisbat-e-mauhūm

    be-navā maiñ huuñ tājvar ho tum

    'rāz' do aib haiñ yahī tum meñ

    sāf-go aur haq-nigar ho tum

    sach to ye hai ki dida-war ho tum

    be-KHabar hum hain ba-KHabar ho tum

    waqif-e-raaz-e-KHair-o-shar ho tum

    KHush-KHayal aur KHush-nazar ho tum

    aashna-e-rumuz-e-kun-fa-yakun

    raaz-e-hasti se ba-KHabar ho tum

    jis se raushan hai matla-e-ummid

    sham-e-ghurbat mein wo sahar ho tum

    kaun hai ye harif-e-shoala-e-tur

    ai main qurban jalwa-gar ho tum

    dasht-e-ghurbat mein rah-e-hasti mein

    main samajhta hun ham-safar ho tum

    ek nisbat hai nisbat-e-mauhum

    be-nawa main hun tajwar ho tum

    'raaz' do aib hain yahi tum mein

    saf-go aur haq-nigar ho tum

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now