sach yahi hai ki bahut aaj ghin aati hai mujhe
sach yahī hai ki bahut aaj ghin aatī hai mujhe
vaise vo shai kabhī matlūb rahī bhī hai mujhe
apnī tanhā.ī ko bāzār ghumā laayā huuñ
ghar kī chaukhaT pe pahuñchte hī lipaTtī hai mujhe
tujh se miltā huuñ to aa jaatī hai āñkhoñ meñ namī
tū samajhtā hai shikāyat ye purānī hai mujhe
us ke shar se maiñ sadā māñgtā rahtā huuñ panāh
isī duniyā se mohabbat bhī balā kī hai mujhe
bas isī vaj.h se hai us kī zabāñ meñ luknat
us ko vo baat sunānī hai jo kahnī hai mujhe
sach yahi hai ki bahut aaj ghin aati hai mujhe
waise wo shai kabhi matlub rahi bhi hai mujhe
apni tanhai ko bazar ghuma laya hun
ghar ki chaukhaT pe pahunchte hi lipaTti hai mujhe
tujh se milta hun to aa jati hai aankhon mein nami
tu samajhta hai shikayat ye purani hai mujhe
us ke shar se main sada mangta rahta hun panah
isi duniya se mohabbat bhi bala ki hai mujhe
bas isi wajh se hai us ki zaban mein luknat
us ko wo baat sunani hai jo kahni hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.