sachchai se bilkul aari hota hai
sachchā.ī se bilkul aarī hotā hai
terā vā'da bhī sarkārī hotā hai
jo amāvas kī raat meñ chamke vo jugnū
pūrnimā ke chāñd pe bhārī hotā hai
Daak ticket kī bhī koī auqāt hai kyā
terī yaad meñ aañsū jaarī hotā hai
us par hī phūloñ kī bārish karte ho
jis kā har jumla chingārī hotā hai
mahrūmī kā jashn manā.eñgī āñkheñ
phir elān-e-shab-bedārī hotā hai
sachchai se bilkul aari hota hai
tera wa'da bhi sarkari hota hai
jo amawas ki raat mein chamke wo jugnu
purnima ke chand pe bhaari hota hai
Dak ticket ki bhi koi auqat hai kya
teri yaad mein aansu jari hota hai
us par hi phulon ki barish karte ho
jis ka har jumla chingari hota hai
mahrumi ka jashn manaengi aankhen
phir elan-e-shab-bedari hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.