sad jalwa ru-ba-ru hai jo mizhgan uThaiye
sad jalva rū-ba-rū hai jo mizhgāñ uThā.iye
tāqat kahāñ ki diid kā ehsāñ uThā.iye
hai sañg par barāt-e-ma.āsh-e-junūn-e-ishq
ya.anī hunūz minnat-e-tiflāñ uThā.iye
dīvār bār-e-minnat-e-mazdūr se hai ḳham
ai ḳhānumāñ-ḳharāb na ehsāñ uThā.iye
yā mere zaḳhm-e-rashk ko rusvā na kījiye
yā parda-e-tabassum-e-pinhāñ uThā.iye
hastī fareb-nāma-e-mauj-e-sarāb hai
yak umr nāz-e-shoḳhi-e-unvāñ uThā.iye
sad jalwa ru-ba-ru hai jo mizhgan uThaiye
taqat kahan ki did ka ehsan uThaiye
hai sang par baraat-e-maash-e-junun-e-ishq
yani hunuz minnat-e-tiflan uThaiye
diwar bar-e-minnat-e-mazdur se hai KHam
ai KHanuman-KHarab na ehsan uThaiye
ya mere zaKHm-e-rashk ko ruswa na kijiye
ya parda-e-tabassum-e-pinhan uThaiye
hasti fareb-nama-e-mauj-e-sarab hai
yak umr naz-e-shoKHi-e-unwan uThaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.