sad-KHatawar hain lekin ye jasarat nahin ki
sad-ḳhatāvār haiñ lekin ye jasārat nahīñ kī
ham ne ḳhush rah ke tire ġham se ḳhayānat nahīñ kī
ham ne be-sūd tire saath mohabbat kī hai
itnī be-sūd ki paane kī bhī chāhat nahīñ kī
dil ko is sabr pe kuchh daad to de ki is ne
tujh ko kho kar bhī mirī jaan qayāmat nahīñ kī
vo jahāñ-zād thā us ne bhī sitam kam na kiye
ham junūñ-zād the ham ne bhī shikāyat nahīñ kī
koī ik ghaav thā jo she'r nahīñ ho paayā
koī ik choT thī jo dil ne 'ibārat nahīñ kī
vo jo ik chehra thā āñkhoñ kā dilāsa 'abbās'
ham ne us chehre kī ‘umroñ se ziyārat nahīñ kī
sad-KHatawar hain lekin ye jasarat nahin ki
hum ne KHush rah ke tere gham se KHayanat nahin ki
hum ne be-sud tere sath mohabbat ki hai
itni be-sud ki pane ki bhi chahat nahin ki
dil ko is sabr pe kuchh dad to de ki is ne
tujh ko kho kar bhi meri jaan qayamat nahin ki
wo jahan-zad tha us ne bhi sitam kam na kiye
hum junun-zad the hum ne bhi shikayat nahin ki
koi ek ghaw tha jo she'r nahin ho paya
koi ek choT thi jo dil ne 'ibarat nahin ki
wo jo ek chehra tha aankhon ka dilasa 'abbas'
hum ne us chehre ki ‘umron se ziyarat nahin ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.