sad-rashk-e-anjuman hain ye tanhaiyan meri
sad-rashk-e-anjuman haiñ ye tanhā.iyāñ mirī
sūraj mirā sitāre mire kahkashāñ mirī
maanā ki qahqahe nahīñ mere nasīb meñ
sarmāya-e-nashāt hai āh-o-fuġhāñ mirī
har talḳh tajrabe ne kahā hañs ke mujh se yuuñ
ā.eñgī kaam tere yahī talḳhiyāñ mirī
rañg-e-bahār rang-e-ġhazal rañg-e-ḳhūn-e-dil
Duubī har ek rang meñ hai dāstāñ mirī
jhuktā nahīñ ye sar kisī sarkash ke sāmne
pā.inda bād-e-rif.at-e-fikr-e-javāñ mirī
tūfān-o-inqalāb ke afsāne ban ga.e
ulTā asar dikhā ga.iiñ ḳhāmoshiyāñ mirī
jab 'tāhira' milegā na ne'mul-badal mirā
yaad ā.eñgī zamāne ko tab ḳhūbiyāñ mirī
sad-rashk-e-anjuman hain ye tanhaiyan meri
suraj mera sitare mere kahkashan meri
mana ki qahqahe nahin mere nasib mein
sarmaya-e-nashat hai aah-o-fughan meri
har talKH tajrabe ne kaha hans ke mujh se yun
aaengi kaam tere yahi talKHiyan meri
rang-e-bahaar rang-e-ghazal rang-e-KHun-e-dil
Dubi har ek rang mein hai dastan meri
jhukta nahin ye sar kisi sarkash ke samne
painda baad-e-rifat-e-fikr-e-jawan meri
tufan-o-inqalab ke afsane ban gae
ulTa asar dikha gain KHamoshiyan meri
jab 'tahira' milega na ne'mul-badal mera
yaad aaengi zamane ko tab KHubiyan meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.