sad-saughat sakun firdaus september aa
sad-saughat sakun firdaus september aa
Rajinder Manchanda Bani
MORE BYRajinder Manchanda Bani
sad-sauġhāt sakūñ firdaus september aa
ai rañgoñ ke mausam manzar manzar aa
ādhe-adhūre lams na mere haath pe rakh
kabhī supurd-e-badan sā mujhe mayassar aa
kab talak phailā.egā dhund mire ḳhuuñ meñ
jhūTī sachchī navā meñ Dhal kar lab par aa
mujhe pata thā ik din lauT ke aa.egā tū
rukā huā dahlīz pe kyuuñ hai andar aa
ai paiham-parvāz parinde dam le le
nahīñ utartā āñgan meñ to chhat par aa
us ne ajab kuchh pyaar se ab ke likkhā 'bānī'
bahut dinoñ phir ghuum liyā vāpas ghar aa
sad-saughat sakun firdaus september aa
ai rangon ke mausam manzar manzar aa
aadhe-adhure lams na mere hath pe rakh
kabhi supurd-e-badan sa mujhe mayassar aa
kab talak phailaega dhund mere KHun mein
jhuTi sachchi nawa mein Dhal kar lab par aa
mujhe pata tha ek din lauT ke aaega tu
ruka hua dahliz pe kyun hai andar aa
ai paiham-parwaz parinde dam le le
nahin utarta aangan mein to chhat par aa
us ne ajab kuchh pyar se ab ke likkha 'bani'
bahut dinon phir ghum liya wapas ghar aa
- Book : Kulliyat-e-bani (Pg. 296)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.