Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne ehsas se chhu kar mujhe sandal kar do

Wasi Shah

apne ehsas se chhu kar mujhe sandal kar do

Wasi Shah

apne ehsās se chhū kar mujhe sandal kar do

maiñ ki sadiyoñ se adhūrā huuñ mukammal kar do

na tumheñ hosh rahe aur na mujhe hosh rahe

is qadar TuuT ke chāho mujhe pāgal kar do

tum hathelī ko mire pyaar mehñdī se rañgo

apnī āñkhoñ meñ mire naam kājal kar do

is ke saa.e meñ mire ḳhvāb dahak uTTheñge

mere chehre pe chamaktā huā āñchal kar do

dhuup dhuup huuñ maiñ TuuT ke barso mujh par

is qadar barso mirī ruuh meñ jal-thal kar do

jaise sahrāoñ meñ har shaam havā chaltī hai

is tarah mujh meñ chalo aur mujhe jal-thal kar do

tum chhupā lo mirā dil oT meñ apne dil

aur mujhe merī nigāhoñ se bhī ojhal kar do

mas.ala huuñ to nigāheñ na churāo mujh se

apnī chāhat se tavajjoh se mujhe hal kar do

apne ġham se kaho har vaqt mire saath rahe

ek ehsān karo is ko musalsal kar do

mujh pe chhā jaao kisī aag sūrat jānāñ

aur mirī zaat ko sūkhā huā jañgal kar do

apne ehsas se chhu kar mujhe sandal kar do

main ki sadiyon se adhura hun mukammal kar do

na tumhein hosh rahe aur na mujhe hosh rahe

is qadar TuT ke chaho mujhe pagal kar do

tum hatheli ko mere pyar ki mehndi se rango

apni aankhon mein mere nam ka kajal kar do

is ke sae mein mere KHwab dahak uTThenge

mere chehre pe chamakta hua aanchal kar do

dhup hi dhup hun main TuT ke barso mujh par

is qadar barso meri ruh mein jal-thal kar do

jaise sahraon mein har sham hawa chalti hai

is tarah mujh mein chalo aur mujhe jal-thal kar do

tum chhupa lo mera dil oT mein apne dil ki

aur mujhe meri nigahon se bhi ojhal kar do

masala hun to nigahen na churao mujh se

apni chahat se tawajjoh se mujhe hal kar do

apne gham se kaho har waqt mere sath rahe

ek ehsan karo is ko musalsal kar do

mujh pe chha jao kisi aag ki surat jaanan

aur meri zat ko sukha hua jangal kar do

RECITATIONS

Wasi Shah

Wasi Shah,

Wasi Shah

Apne ehsas se chhu kar mujhe sandal kar do Wasi Shah

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now