Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sada-e-ahd-e-wafa ko zawal kyun aaya

Ejaz Asif

sada-e-ahd-e-wafa ko zawal kyun aaya

Ejaz Asif

MORE BYEjaz Asif

    sadā-e-ahd-e-vafā ko zavāl kyuuñ aayā

    lab-e-sukūt pe harf-e-savāl kyuuñ aayā

    kise ḳhabar ki chaman meñ ḳhizāñ aamad par

    ġhurūr-e-sho.ala-e-gul ko jalāl kyuuñ aayā

    bujhā rahā thā maiñ apne vajūd ḳhurshīd

    tirī nigāh meñ rañg-e-malāl kyuuñ aayā

    shab-e-firāq ne dekhī na thī mirī sūrat

    shab-e-firāq ko merā ḳhayāl kyuuñ aayā

    chubhan hai zehan meñ 'āsif' ki is añdhere meñ

    ufuq ke haath pe āḳhir hilāl kyuuñ aayā

    sada-e-ahd-e-wafa ko zawal kyun aaya

    lab-e-sukut pe harf-e-sawal kyun aaya

    kise KHabar ki chaman mein KHizan ki aamad par

    ghurur-e-shoala-e-gul ko jalal kyun aaya

    bujha raha tha main apne wajud ka KHurshid

    teri nigah mein rang-e-malal kyun aaya

    shab-e-firaq ne dekhi na thi meri surat

    shab-e-firaq ko mera KHayal kyun aaya

    chubhan hai zehan mein 'asif' ki is andhere mein

    ufuq ke hath pe aaKHir hilal kyun aaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now