sada-e-dil na kahin dhaDkanon mein gum ho jae
sada-e-dil na kahin dhaDkanon mein gum ho jae
Khushbir Singh Shaad
MORE BYKhushbir Singh Shaad
sadā-e-dil na kahīñ dhaḌkanoñ meñ gum ho jaa.e
ye qāfila na kahīñ rāstoñ meñ gum ho jaa.e
ye dil kā dard jo āñkhoñ meñ aa gayā hai mirī
maiñ chāhtā thā mire qahqahoñ meñ gum ho jaa.e
tujhe ḳhabar bhī hai ye be-hisoñ kī bastī hai
tirī sadā na kahīñ pattharoñ meñ gum ho jaa.e
maiñ ḳhud ko DhūñDhne niklā to kho gayā jaise
nikal ke ghar se koī rāstoñ meñ gum ho jaa.e
na jaane aaj hai tāroñ ko kyuuñ ye andesha
ye raat bhī na kahīñ jugnuoñ meñ gum ho jaa.e
maiñ bār-hā tirī yādoñ meñ is tarah khoyā
ki jaise koī nadī jañgaloñ meñ gum ho jaa.e
chaman se kyuuñ na shikāyat ho 'shād' rañgoñ ko
har ek phuul agar ḳhushbuoñ meñ gum ho jaa.e
sada-e-dil na kahin dhaDkanon mein gum ho jae
ye qafila na kahin raston mein gum ho jae
ye dil ka dard jo aankhon mein aa gaya hai meri
main chahta tha mere qahqahon mein gum ho jae
tujhe KHabar bhi hai ye be-hison ki basti hai
teri sada na kahin pattharon mein gum ho jae
main KHud ko DhunDhne nikla to kho gaya jaise
nikal ke ghar se koi raston mein gum ho jae
na jaane aaj hai taron ko kyun ye andesha
ye raat bhi na kahin jugnuon mein gum ho jae
main bar-ha teri yaadon mein is tarah khoya
ki jaise koi nadi jangalon mein gum ho jae
chaman se kyun na shikayat ho 'shad' rangon ko
har ek phul agar KHushbuon mein gum ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.