sada rahe tera gham salamat yahi asasa hai aabru ka
sadā rahe terā ġham salāmat yahī asāsa hai aabrū kā
ye daulat-e-dil baham na hotī to kaun pursāñ thā aarzū kā
umaD ke aayā hai ai azīzo ravish ravish sail rañg-o-bū kā
magar na phir bhī nasīb chamkā agar mirī ḳhāk-e-be-numū kā
misāl-e-sub.h-e-bahār tū hai to maiñ huuñ shām-e-ḳhizāñ kī sūrat
chaman chaman ḳhār-o-ḳhas se mere faroġh hai tere rañg-o-bū kā
base to mere mashām-e-jāñ meñ mahak tire nāma-e-nafas kī
khule to parcham kabhī mire dosh par tirī zulf-e-mushkbū kā
musāfirān-e-safīna-e-jāñ ravāñ haiñ kin manziloñ kī jānib
havā kī zad par shab-e-siyah meñ alam kiye bādbāñ lahū kā
qabā-e-jāñ taar taar apnī huī bahut kāvish-e-rafū meñ
magar isī se khulā hai āḳhir bharam har ik chaak har rafū kā
jo mere ehsās-e-be-zabāñ ko zabāñ milī to chamak uThā hai
sharāra ban kar kahīñ navā kā charāġh ban kar kahīñ pe lū kā
sada rahe tera gham salamat yahi asasa hai aabru ka
ye daulat-e-dil baham na hoti to kaun pursan tha aarzu ka
umaD ke aaya hai ai azizo rawish rawish sail rang-o-bu ka
magar na phir bhi nasib chamka agar meri KHak-e-be-numu ka
misal-e-subh-e-bahaar tu hai to main hun sham-e-KHizan ki surat
chaman chaman KHar-o-KHas se mere farogh hai tere rang-o-bu ka
base to mere masham-e-jaan mein mahak tere nama-e-nafas ki
khule to parcham kabhi mere dosh par teri zulf-e-mushkbu ka
musafiran-e-safina-e-jaan rawan hain kin manzilon ki jaanib
hawa ki zad par shab-e-siyah mein alam kiye baadban lahu ka
qaba-e-jaan tar tar apni hui bahut kawish-e-rafu mein
magar isi se khula hai aaKHir bharam har ek chaak har rafu ka
jo mere ehsas-e-be-zaban ko zaban mili to chamak uTha hai
sharara ban kar kahin nawa ka charagh ban kar kahin pe lu ka
- Book : Pakistani Adab (Pg. 407)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.