sadaqat ki yahan izzat nahin hai
sadāqat kī yahāñ izzat nahīñ hai
vafādārī kī kuchh qīmat nahīñ hai
jahāñ se vo gayā thā maiñ vahīñ huuñ
magar jiine meñ vo lazzat nahīñ hai
zabāñ pe talḳhiyāñ āñkhoñ meñ ġhussa
magar kirdār meñ ḳhissat nahīñ hai
vaqār apnā nahīñ kotāh lekin
tire rutbe sī bhī qāmat nahīñ hai
rahe miTTī kī ḳhushbū yaad har-dam
to sāñseñ roktī ġhurbat nahīñ hai
jahālat meñ palī duniyā meñ shāyad
ta.aqqul se baḌī ne.amat nahīñ hai
chalā chal sar uThā kar yaar 'nāqid'
lagī ab tak koī tohmat nahīñ hai
sadaqat ki yahan izzat nahin hai
wafadari ki kuchh qimat nahin hai
jahan se wo gaya tha main wahin hun
magar jine mein wo lazzat nahin hai
zaban pe talKHiyan aankhon mein ghussa
magar kirdar mein KHissat nahin hai
waqar apna nahin kotah lekin
tere rutbe si bhi qamat nahin hai
rahe miTTi ki KHushbu yaad har-dam
to sansen rokti ghurbat nahin hai
jahaalat mein pali duniya mein shayad
taqqul se baDi neamat nahin hai
chala chal sar uTha kar yar 'naqid'
lagi ab tak koi tohmat nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.