saDak ka dard daraKHton se ham-kanar na ho
saḌak kā dard daraḳhtoñ se ham-kanār na ho
musāfiroñ ko bhī itnā safar se pyaar na ho
zamāna bol rahā ho to muḳhtasar bole
agar vo bol rahā ho to iḳhtisār na ho
zamīn apne kaTāv pe ro ke kahtī hai
daraḳht kāTne vāloñ pe e'tibār na ho
kisī ne Thekā nahīñ le rakhā zamāne kā
tumhārā ġham ho to phir kaun sogvār na ho
maiñ ik ishāre pe niklā huuñ qāfile se ki bas
jo be-dilī kā ishāra hai bār-bār na ho
isī maqām ko zillat kī maut kahte haiñ
koī shu.ūr ke mausam meñ sharmsār na ho
zamāna aise mirī dastaras meñ hai 'abdul'
ki jaise baap ko beToñ pe iḳhtiyār na ho
saDak ka dard daraKHton se ham-kanar na ho
musafiron ko bhi itna safar se pyar na ho
zamana bol raha ho to muKHtasar bole
agar wo bol raha ho to iKHtisar na ho
zamin apne kaTaw pe ro ke kahti hai
daraKHt kaTne walon pe e'tibar na ho
kisi ne Theka nahin le rakha zamane ka
tumhaara gham ho to phir kaun sogwar na ho
main ek ishaare pe nikla hun qafile se ki bas
jo be-dili ka ishaara hai bar-bar na ho
isi maqam ko zillat ki maut kahte hain
koi shuur ke mausam mein sharmsar na ho
zamana aise meri dastaras mein hai 'abdul'
ki jaise bap ko beTon pe iKHtiyar na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.