saDak ki donon jaanib ka safar tha
saḌak kī donoñ jānib kā safar thā
vo pahlā ishq thā pahlā safar thā
kamar joḌe hue baiThe the donoñ
ki chal paḌnā to bas phīkā safar thā
hamārī niiñd sone kī Dalī thī
sunahrī ḳhvāb kā achchhā safar thā
ḳhabar kī rā.igānī se bachā kar
kisī scrēn par likhā safar thā
udāsī aa.ine ko chhū ke bolī
ye kis ne tujh meñ yuuñ dekhā safar thā
saDak ki donon jaanib ka safar tha
wo pahla ishq tha pahla safar tha
kamar joDe hue baiThe the donon
ki chal paDna to bas phika safar tha
hamari nind sone ki Dali thi
sunahri KHwab ka achchha safar tha
KHabar ki raigani se bacha kar
kisi screen par likha safar tha
udasi aaine ko chhu ke boli
ye kis ne tujh mein yun dekha safar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.