saDak pe dauDte mahtab dekh leta hun
saḌak pe dauḌte mahtāb dekh letā huuñ
maiñ chaltā-phirtā huā ḳhvāb dekh letā huuñ
mirī nazar se pare saikḌoñ jahāñ hoñge
maiñ ik jahān tah-e-āb dekh letā huuñ
maiñ TuuTe bikhre hue dostoñ kī bastī meñ
na.e nizām ke ādāb dekh letā huuñ
ajiib dhuñd hai maiñ apnī haar meñ 'ālam'
shikast-e-gumbad-o-mehrāb dekh letā huuñ
saDak pe dauDte mahtab dekh leta hun
main chalta-phirta hua KHwab dekh leta hun
meri nazar se pare saikDon jahan honge
main ek jahan tah-e-ab dekh leta hun
main TuTe bikhre hue doston ki basti mein
nae nizam ke aadab dekh leta hun
ajib dhund hai main apni haar mein 'alam'
shikast-e-gumbad-o-mehrab dekh leta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.