sadiyan jin mein zinda hon wo sach bhi marne lagte hain
sadiyan jin mein zinda hon wo sach bhi marne lagte hain
Amjad Islam Amjad
MORE BYAmjad Islam Amjad
sadiyāñ jin meñ zinda hoñ vo sach bhī marne lagte haiñ
dhuup āñkhoñ tak aa jaa.e to ḳhvāb bikharne lagte haiñ
insānoñ ke ruup meñ jis dam saa.e bhaTkeñ saḌkoñ par
ḳhvāboñ se dil chehroñ se ā.īne Darne lagte haiñ
kyā ho jaatā hai in hañste jiite jāgte logoñ ko
baiThe baiThe kyuuñ ye ḳhud se bāteñ karne lagte haiñ
ishq kī apnī hī rasmeñ haiñ dost kī ḳhātir hāthoñ meñ
jītne vaale patte bhī hoñ phir bhī harne lagte haiñ
dekhe hue vo saare manzar na.e na.e dikhlā.ī deñ
Dhaltī umr kī sīḌhī se jab log utarne lagte haiñ
bedārī āsān nahīñ hai āñkheñ khulte hī 'amjad'
qadam qadam ham sapnoñ ke jurmāne bharne lagte haiñ
sadiyan jin mein zinda hon wo sach bhi marne lagte hain
dhup aankhon tak aa jae to KHwab bikharne lagte hain
insanon ke rup mein jis dam sae bhaTken saDkon par
KHwabon se dil chehron se aaine Darne lagte hain
kya ho jata hai in hanste jite jagte logon ko
baiThe baiThe kyun ye KHud se baaten karne lagte hain
ishq ki apni hi rasmen hain dost ki KHatir hathon mein
jitne wale patte bhi hon phir bhi harne lagte hain
dekhe hue wo sare manzar nae nae dikhlai den
Dhalti umr ki siDhi se jab log utarne lagte hain
bedari aasan nahin hai aankhen khulte hi 'amjad'
qadam qadam hum sapnon ke jurmane bharne lagte hain
- Book : Batain Kartay Din (Pg. 129)
- Author : Amjad Islam Amjad
- Publication : Sang-e-meel Publications (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.