sadiyon philosophy ki chunan aur chunin rahi
sadiyoñ philosophy kī chunāñ aur chunīñ rahī
lekin ḳhudā kī baat jahāñ thī vahīñ rahī
zor-āzmā.iyāñ huiiñ science kī bhī ḳhuub
tāqat baḌhī kisī kī kisī meñ nahīñ rahī
duniyā kabhī na sulh pe maa.il huī magar
bāham hamesha barsar-e-paikār-o-kīñ rahī
paayā agar faroġh to sirf un nufūs ne
jin kī ki ḳhizr-e-rāh faqat sham-e-dīñ rahī
allāh hī kī yaad bahar-hāl ḳhalq meñ
vaj.h-e-sukūn-e-ḳhatir-e-andoh-gīñ rahī
sadiyon philosophy ki chunan aur chunin rahi
lekin KHuda ki baat jahan thi wahin rahi
zor-azmaiyan huin science ki bhi KHub
taqat baDhi kisi ki kisi mein nahin rahi
duniya kabhi na sulh pe mail hui magar
baham hamesha barsar-e-paikar-o-kin rahi
paya agar farogh to sirf un nufus ne
jin ki ki KHizr-e-rah faqat sham-e-din rahi
allah hi ki yaad bahar-haal KHalq mein
wajh-e-sukun-e-KHatir-e-andoh-gin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.