sadiyon se rah takti hui ghaTiyon mein tum
sadiyoñ se raah taktī huī ghāTiyoñ meñ tum
ik lamha aa ke hans ga.e maiñ DhūñDhtā phirā
in vādiyoñ meñ barf ke chhīñToñ ke saath saath
har sū sharar baras ga.e maiñ DhūñDhtā phirā
rāteñ tarā.iyoñ kī tahoñ meñ luḌhak ga.iiñ
din daldaloñ meñ dhañs ga.e maiñ DhūñDhtā phirā
rāheñ dhueñ se bhar ga.iiñ maiñ muntazir rahā
qarnoñ ke ruḳh jhulas ga.e maiñ DhūñDhtā phirā
tum phir na aa sakoge batānā to thā mujhe
tum duur jā ke bas ga.e maiñ DhūñDhtā phirā
sadiyon se rah takti hui ghaTiyon mein tum
ek lamha aa ke hans gae main DhunDhta phira
in wadiyon mein barf ke chhinTon ke sath sath
har su sharar baras gae main DhunDhta phira
raaten taraiyon ki tahon mein luDhak gain
din daldalon mein dhans gae main DhunDhta phira
rahen dhuen se bhar gain main muntazir raha
qarnon ke ruKH jhulas gae main DhunDhta phira
tum phir na aa sakoge batana to tha mujhe
tum dur ja ke bas gae main DhunDhta phira
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.