sadqe tere hote haiñ sūraj bhī sitāre bhī
ham kis se kaheñ dil hai siine meñ hamāre bhī
tā sub.h gire aañsū aur aañkh nahīñ jhapkī
is baat ke shāhid haiñ Duube hue taare bhī
dil kho ke milā ham ko jo kuchh vo bahut kuchh hai
is ishq kī baazī meñ ham jiite bhī haare bhī
jo kuchh thā mere dil meñ maiñ ne to kahā tum se
ab tum bhī kaho jo kuchh hai dil meñ tumhāre bhī
kyuuñ bahr-e-mohabbat meñ hai ḳhauf-e-ajal 'nātiq'
marne ko to marte haiñ dariyā ke kināre bhī
sadqe tere hote hain suraj bhi sitare bhi
hum kis se kahen dil hai sine mein hamare bhi
ta subh gire aansu aur aankh nahin jhapki
is baat ke shahid hain Dube hue tare bhi
dil kho ke mila hum ko jo kuchh wo bahut kuchh hai
is ishq ki bazi mein hum jite bhi haare bhi
jo kuchh tha mere dil mein main ne to kaha tum se
ab tum bhi kaho jo kuchh hai dil mein tumhaare bhi
kyun bahr-e-mohabbat mein hai KHauf-e-ajal 'natiq'
marne ko to marte hain dariya ke kinare bhi
sadqe tere hote hain suraj bhi sitare bhi
Nomaan Shauque
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.