safa almas o gauhar se fuzun hai tere dandan ki
safa almas o gauhar se fuzun hai tere dandan ki
Meer Mohammadi Bedar
MORE BYMeer Mohammadi Bedar
safā almās o gauhar se fuzūñ hai tere dandāñ kī
kahāñ tujh lab ke aage qadr-o-qīmat la.al-o-marjāñ kī
'ajab kī sāhirī us man-haran ke chashm-e-fattāñ ne
diyā kājal siyāhī le ke āñkhoñ se ġhazālāñ kī
tujhe ai lāla-rū vo husn-e-rañgīñ hai ki gul-rūyāñ
'abīrī pairahan karte haiñ terī gard-e-dāmāñ kī
'abas mal mal ke dhotā hai tū apne dast-e-nāzuk ko
nahīñ jaane kī surḳhī haath se ḳhūn-e-shahīdāñ kī
bahār aa.ī chaman meñ gul khile ai bāġhbāñ shāyad
junūñ ne dhajjiyāñ gar jo uḌā.īñ phir garebāñ kī
qad-e-mauzūñ to shamshād-o-sanobar rakhte haiñ lekin
kahāñ pāveñ laTak kī chaal us sarv-e-ḳhirāmāñ kī
na dekhī aañkh uTThā bad-halī-e-āshuftagāñ zālim
banātā hī rahā tū ḳhush-ḳhumī zulf-e-pareshāñ kī
barahna-pā junūñ āvāra kaun is dasht se guzrā
ki rangīñ ḳhuuñ se hai yaañ nok har ḳhār-e-muġhīlāñ kī
rakho mat chashm-e-ḳhvāb ai dosto 'bedār' se hargiz
koī detī hai sone yaad us rū-e-daraḳhshāñ kī
safa almas o gauhar se fuzun hai tere dandan ki
kahan tujh lab ke aage qadr-o-qimat lal-o-marjaan ki
'ajab ki sahiri us man-haran ke chashm-e-fattan ne
diya kajal siyahi le ke aankhon se ghazalan ki
tujhe ai lala-ru wo husn-e-rangin hai ki gul-ruyan
'abiri pairahan karte hain teri gard-e-daman ki
'abas mal mal ke dhota hai tu apne dast-e-nazuk ko
nahin jaane ki surKHi hath se KHun-e-shahidan ki
bahaar aai chaman mein gul khile ai baghban shayad
junun ne dhajjiyan gar jo uDain phir gareban ki
qad-e-mauzun to shamshad-o-sanobar rakhte hain lekin
kahan pawen laTak ki chaal us sarw-e-KHiraman ki
na dekhi aankh uTTha bad-hali-e-ashuftagan zalim
banata hi raha tu KHush-KHumi zulf-e-pareshan ki
barahna-pa junun aawara kaun is dasht se guzra
ki rangin KHun se hai yan nok har KHar-e-mughilan ki
rakho mat chashm-e-KHwab ai dosto 'bedar' se hargiz
koi deti hai sone yaad us ru-e-daraKHshan ki
- Deewan-e-Bedar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.