safar andar safar karte agar tum
safar andar safar karte agar tum
kahānī muḳhtasar karte agar tum
hameñ manzūr the saare tamāshe
kisī unvān par karte agar tum
siyāsat mas.ala koī nahīñ thā
kisī ke naam par karte agar tum
hamāre rābte kaTne lage haiñ
kahīñ phir nāma-bar karte agar tum
haqīqat khul ke aa jaatī nazar meñ
haqīqat par nazar karte agar tum
safar andar safar karte agar tum
kahani muKHtasar karte agar tum
hamein manzur the sare tamashe
kisi unwan par karte agar tum
siyasat masala koi nahin tha
kisi ke nam par karte agar tum
hamare rabte kaTne lage hain
kahin phir nama-bar karte agar tum
haqiqat khul ke aa jati nazar mein
haqiqat par nazar karte agar tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.