safar badalta raha ham-safar badalte rahe
safar badaltā rahā ham-safar badalte rahe
zarūratoñ ke mutābiq bashar badalte rahe
jahāñ sukūn milā baiTh jaate the ham log
parind kī tarah ham bhī shajar badalte rahe
za.iif baap kī ḳhidmat kī baat jab aa.ī
to mausamoñ kī tarah se pisar badalte rahe
vo manziloñ pe kabhī bhī pahuñch nahīñ paa.e
zarā sī der meñ jo rāhbar badalte rahe
duā.eñ karte rahe ham bhī dushmanoñ ke liye
par apne vāste ham bhī sipar badalte rahe
ye kah rahā hai sar-e-dasht-e-nainvā ḳhanjar
maiñ thak gayā thā magar phir bhī sar badalte rahe
'turāb' tum bhī to badle ho kitnī tezī se
na chāhte hue tum bhī magar badalte rahe
safar badalta raha ham-safar badalte rahe
zaruraton ke mutabiq bashar badalte rahe
jahan sukun mila baiTh jate the hum log
parind ki tarah hum bhi shajar badalte rahe
zaif bap ki KHidmat ki baat jab aai
to mausamon ki tarah se pisar badalte rahe
wo manzilon pe kabhi bhi pahunch nahin pae
zara si der mein jo rahbar badalte rahe
duaen karte rahe hum bhi dushmanon ke liye
par apne waste hum bhi sipar badalte rahe
ye kah raha hai sar-e-dasht-e-nainwa KHanjar
main thak gaya tha magar phir bhi sar badalte rahe
'turab' tum bhi to badle ho kitni tezi se
na chahte hue tum bhi magar badalte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.