safar hi baad-e-safar hai to kyun na ghar jaun
safar hī bād-e-safar hai to kyuuñ na ghar jā.ūñ
mileñ jo gum-shuda rāheñ to lauT kar jā.ūñ
musalsal ek sī gardish se hai qayām achchhā
zamīn Thahre to maiñ bhī kahīñ Thahar jā.ūñ
sameTūñ ḳhud ko to duniyā ko haath se chhoḌūñ
asāsa jamā karūñ maiñ to ḳhud bikhar jā.ūñ
hai ḳhair-ḳhvāhoñ kī talqīn-e-maslahat bhī ajiib
ki zinda rahne ko maiñ jīte-jī hī mar jā.ūñ
sabā ke saath milā mujh ko hukm-e-dar-ba-darī
guloñ kī zid hai mizāj un kā pūchh kar jā.ūñ
mirī uḌaan agar mujh ko nīche aane de
to āsmān kī gahrā.ī meñ utar jā.ūñ
vo kah gayā hai karūñ intizār umr tamām
maiñ us ko DhūñDne niklūñ na apne ghar jā.ūñ
kahāñ uThā.e phirūñ bojh apne sar kā 'vahīd'
ye jis kā qarz hai us ke hī dar pe dhar jā.ūñ
safar hi baad-e-safar hai to kyun na ghar jaun
milen jo gum-shuda rahen to lauT kar jaun
musalsal ek si gardish se hai qayam achchha
zamin Thahre to main bhi kahin Thahar jaun
sameTun KHud ko to duniya ko hath se chhoDun
asasa jama karun main to KHud bikhar jaun
hai KHair-KHwahon ki talqin-e-maslahat bhi ajib
ki zinda rahne ko main jite-ji hi mar jaun
saba ke sath mila mujh ko hukm-e-dar-ba-dari
gulon ki zid hai mizaj un ka puchh kar jaun
meri uDan agar mujh ko niche aane de
to aasman ki gahrai mein utar jaun
wo kah gaya hai karun intizar umr tamam
main us ko DhunDne niklun na apne ghar jaun
kahan uThae phirun bojh apne sar ka 'wahid'
ye jis ka qarz hai us ke hi dar pe dhar jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.