safar ek dusre ka ek sa hai
safar ik dūsre kā ek sā hai
badan manzil nahīñ hai marhala hai
mire māthe pe jo tābindagī hai
fanā hone se pahle kī qabā hai
maiñ tujh ko umr saarī yaad aa.uuñ
tire is bhūlne kī ye sazā hai
vo mahfil meñ vahī tanhā.ī meñ bhī
mujhī meñ aa ke mujh ko DhūñDhtā hai
tirī nazroñ se guzrī rahguzar bhī
hazāroñ manziloñ kā rāsta hai
safar ek dusre ka ek sa hai
badan manzil nahin hai marhala hai
mere mathe pe jo tabindagi hai
fana hone se pahle ki qaba hai
main tujh ko umr sari yaad aaun
tere is bhulne ki ye saza hai
wo mahfil mein wahi tanhai mein bhi
mujhi mein aa ke mujh ko DhunDhta hai
teri nazron se guzri rahguzar bhi
hazaron manzilon ka rasta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.