safar ka aur koi silsila nikalenge
safar kā aur koī silsila nikāleñge
bhaTak ga.e to nayā rāsta nikāleñge
qarīb aane lagegī jo vasl kī manzil
ham apne biich koī fāsla nikāleñge
sameT kar kisī kone meñ gaThḌiyāñ ġham kī
na.ī ḳhushī ke liye ham jagah nikāleñge
baneñge ishq-e-adālat meñ ham vakīl tire
purānī baat meñ nukta nayā nikāleñge
rahe jo umr kī puujā ke ba.ad bhī patthar
diloñ se ham vo sabhī devtā nikāleñge
tirī jafā meñ milā kar sitam zamāne ke
sharāb-e-ġham kā ajab zā.iqa nikāleñge
hameñ ḳhamosh kiyā jā.egā sadā ke liye
agar zabān se koī sadā nikāleñge
bharegī niiñd jo in be-qarār āñkhoñ se
ham ek umr kā ye rat-jagā nikāleñge
safar ka aur koi silsila nikalenge
bhaTak gae to naya rasta nikalenge
qarib aane lagegi jo wasl ki manzil
hum apne bich koi fasla nikalenge
sameT kar kisi kone mein gaThDiyan gham ki
nai KHushi ke liye hum jagah nikalenge
banenge ishq-e-adalat mein hum wakil tere
purani baat mein nukta naya nikalenge
rahe jo umr ki puja ke baad bhi patthar
dilon se hum wo sabhi dewta nikalenge
teri jafa mein mila kar sitam zamane ke
sharab-e-gham ka ajab zaiqa nikalenge
hamein KHamosh kiya jaega sada ke liye
agar zaban se koi sada nikalenge
bharegi nind jo in be-qarar aankhon se
hum ek umr ka ye rat-jaga nikalenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.