safar ke lakh hile hain
safar ke laakh hiile haiñ
ye dariyā to vasīle haiñ
kahāñ se ho ke aa.ī hai
havā ke haath piile haiñ
Dasā hai hijr ne ham ko
hamāre saañs niile haiñ
ḳhudāyā ḳhushk rut meñ bhī
hamāre nain giile haiñ
maiñ shā.ir huuñ mohabbat kā
mire dukh bhī rasīle haiñ
abhī to jañg jaarī hai
magar a.asāb Dhīle haiñ
safar ke lakh hile hain
ye dariya to wasile hain
kahan se ho ke aai hai
hawa ke hath pile hain
Dasa hai hijr ne hum ko
hamare sans nile hain
KHudaya KHushk rut mein bhi
hamare nain gile hain
main shair hun mohabbat ka
mere dukh bhi rasile hain
abhi to jang jari hai
magar aasab Dhile hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.