safar mein ek jag tamam ho gaya
safar meñ ek jag tamām ho gayā
ab apne ghar kā rāsta bhī kho gayā
phir us ke pairahan kī bū na mil sakī
vo mere ḳhuuñ meñ āstīñ Dubo gayā
vo neshtar jo us ke haath meñ na thā
gayā to merī saañs meñ piro gayā
ab āñsuoñ kī fasl kāTte raho
judā.iyoñ ke biij vo to bo gayā
na jaane kis nagar aaj shaam ho
sahar huī to jī udaas ho gayā
guzar ga.ī jo be-gharoñ pe kyā kaheñ
zamīñ ko abr-e-barshgāl dho gayā
mirī to aañkh nam na ho sakī magar
vo mujh pe mere āñsuoñ se ro gayā
likhegā kaun is sadī kī dāstāñ
har ek pal hazār saal ho gayā
safar mein ek jag tamam ho gaya
ab apne ghar ka rasta bhi kho gaya
phir us ke pairahan ki bu na mil saki
wo mere KHun mein aastin Dubo gaya
wo neshtar jo us ke hath mein na tha
gaya to meri sans mein piro gaya
ab aansuon ki fasl kaTte raho
judaiyon ke bij wo to bo gaya
na jaane kis nagar aaj sham ho
sahar hui to ji udas ho gaya
guzar gai jo be-gharon pe kya kahen
zamin ko abr-e-barshgal dho gaya
meri to aankh nam na ho saki magar
wo mujh pe mere aansuon se ro gaya
likhega kaun is sadi ki dastan
har ek pal hazar sal ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.