Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

safar mein rah ke aashob se na Dar jaana

Alamtaab Tishna

safar mein rah ke aashob se na Dar jaana

Alamtaab Tishna

MORE BYAlamtaab Tishna

    safar meñ raah ke āshob se na Dar jaanā

    paḌe jo aag dariyā to paar kar jaanā

    ye ik ishāra hai āfāt-e-nā-gahānī

    kisī maqām se chiḌiyoñ kuuch kar jaanā

    ye intiqām hai dasht-e-balā se bādal

    samundaroñ pe baraste hue guzar jaanā

    tumhārā qurb bhī duurī isti.āra hai

    ki jaise chāñd tālāb meñ utar jaanā

    tulū-e-mahr-e-daraḳhshāñ ik alāmat hai

    uThā.e sham-e-yaqīñ us daar par jaanā

    the razm-gāh-e-mohabbat ke bhī ajab andāz

    usī ne vaar kiyā jis ne be-sipar jaanā

    har ik nafas pe guzartā hai ye gumāñ jaise

    charāġh le ke havāoñ se jañg par jaanā

    ham apne ishq ab aur kyā shahādat deñ

    hameñ hamāre raqīboñ ne mo'tabar jaanā

    mire yaqīñ ko baḌā bad-gumān kar ke gayā

    duā-e-nīm-shabī terā be-asar jaanā

    har ek shāḳh ko pahnā gayā numū libās

    safīr-e-mausam-e-gul shajar shajar jaanā

    zamāna biit gayā tark-e-ishq ko 'tishna'

    magar gayā na hamārā idhar udhar jaanā

    safar mein rah ke aashob se na Dar jaana

    paDe jo aag ka dariya to par kar jaana

    ye ek ishaara hai aafat-e-na-gahani ka

    kisi maqam se chiDiyon ka kuch kar jaana

    ye intiqam hai dasht-e-bala se baadal ka

    samundaron pe baraste hue guzar jaana

    tumhaara qurb bhi duri ka istiara hai

    ki jaise chand ka talab mein utar jaana

    tulu-e-mahr-e-daraKHshan ki ek alamat hai

    uThae sham-e-yaqin us ka dar par jaana

    the razm-gah-e-mohabbat ke bhi ajab andaz

    usi ne war kiya jis ne be-sipar jaana

    har ek nafas pe guzarta hai ye guman jaise

    charagh le ke hawaon se jang par jaana

    hum apne ishq ki ab aur kya shahadat den

    hamein hamare raqibon ne mo'tabar jaana

    mere yaqin ko baDa bad-guman kar ke gaya

    dua-e-nim-shabi tera be-asar jaana

    har ek shaKH ko pahna gaya numu ka libas

    safir-e-mausam-e-gul ka shajar shajar jaana

    zamana bit gaya tark-e-ishq ko 'tishna'

    magar gaya na hamara idhar udhar jaana

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 600)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now