safar mein sochte rahte hain chhanw aae kahin
safar meñ sochte rahte haiñ chhāñv aa.e kahīñ
ye dhuup saarā samundar hī pī na jaa.e kahīñ
maiñ ḳhud ko marte hue dekh kar bahut ḳhush huuñ
ye Dar bhī hai ki mirī aañkh khul na jaa.e kahīñ
havā kā shor hai bādal haiñ aur kuchh bhī nahīñ
jahāz TuuT hī jaa.e zamīñ dikhā.e kahīñ
chalā to huuñ magar is baar bhī ye dhaḌkā hai
ye rāsta bhī mujhe phir yahīñ na laa.e kahīñ
ḳhamosh rahnā tumhārā burā na thā 'alvī'
bhulā diyā tumheñ sab ne na yaad aa.e kahīñ
safar mein sochte rahte hain chhanw aae kahin
ye dhup sara samundar hi pi na jae kahin
main KHud ko marte hue dekh kar bahut KHush hun
ye Dar bhi hai ki meri aankh khul na jae kahin
hawa ka shor hai baadal hain aur kuchh bhi nahin
jahaz TuT hi jae zamin dikhae kahin
chala to hun magar is bar bhi ye dhaDka hai
ye rasta bhi mujhe phir yahin na lae kahin
KHamosh rahna tumhaara bura na tha 'alwi'
bhula diya tumhein sab ne na yaad aae kahin
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 55)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.