safar pe aaj wahi kashtiyan nikalti hain
safar pe aaj vahī kashtiyāñ nikaltī haiñ
jinheñ ḳhabar hai havā.eñ bhī tez chaltī haiñ
mirī hayāt se shāyad vo moḌ chhūT ga.e
baġhair samtoñ ke rāheñ jahāñ nikaltī haiñ
hamāre baare meñ likhnā to bas yahī likhnā
kahāñ kī sham'eñ haiñ kin mahfiloñ meñ jaltī haiñ
bahut qarīb hue jā rahe ho socho to
ki itnī qurbateñ jismoñ se kab sañbhaltī haiñ
'vasīm' aao in āñkhoñ ko ġhaur se dekho
yahī to haiñ jo mire faisle badaltī haiñ
safar pe aaj wahi kashtiyan nikalti hain
jinhen KHabar hai hawaen bhi tez chalti hain
meri hayat se shayad wo moD chhuT gae
baghair samton ke rahen jahan nikalti hain
hamare bare mein likhna to bas yahi likhna
kahan ki sham'en hain kin mahfilon mein jalti hain
bahut qarib hue ja rahe ho socho to
ki itni qurbaten jismon se kab sanbhalti hain
'wasim' aao in aankhon ko ghaur se dekho
yahi to hain jo mere faisle badalti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.