safar se lauT ke hum apne ghar nahin jate
safar se lauT ke ham apne ghar nahīñ jaate
thakan to hotī hai ai dost mar nahīñ jaate
ye baat tai hai faqat aabrū hī jaatī hai
hai rāh-e-ishq kabhī is meñ sar nahīñ jaate
agarche manzil-e-maqsūd mil ga.ī hotī
to dar-ba-dar kahāñ phirte Thahar nahīñ jaate
tumhārī yaad meñ hujre meñ leT jaate haiñ
ġhamoñ ke maare hue baam par nahīñ jaate
vo pāñch vaqt bulātā hai ham ko masjid meñ
haiñ bad-nasīb bahut ham agar nahīñ jaate
judā.ī yuuñ to tan-o-sar meñ ho ga.ī 'rizvān'
magar yazīd ke bachchoñ ke Dar nahīñ jaate
safar se lauT ke hum apne ghar nahin jate
thakan to hoti hai ai dost mar nahin jate
ye baat tai hai faqat aabru hi jati hai
hai rah-e-ishq kabhi is mein sar nahin jate
agarche manzil-e-maqsud mil gai hoti
to dar-ba-dar kahan phirte Thahar nahin jate
tumhaari yaad mein hujre mein leT jate hain
ghamon ke mare hue baam par nahin jate
wo panch waqt bulata hai hum ko masjid mein
hain bad-nasib bahut hum agar nahin jate
judai yun to tan-o-sar mein ho gai 'rizwan'
magar yazid ke bachchon ke Dar nahin jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.