safar Thahre to kuchh manzil ki sochun
safar Thahre to kuchh manzil kī sochūñ
zehn ḳhāmosh ho to dil kī sochūñ
guzartā vaqt ruktā hī kahāñ hai
maiñ kaise vaqt ke hāsil kī sochūñ
bahut din se tūfānoñ meñ ghirā huuñ
chalo kuchh der to sāhil kī sochūñ
yahāñ munsif bhī mujrim sā lage hai
maiñ kise ummīd par qātilāna kī sochūñ
kahāñ āsān hai ḳhud ko samajhnā
baḌī mushkil se is mushkil kī sochūñ
safar Thahre to kuchh manzil ki sochun
zehn KHamosh ho to dil ki sochun
guzarta waqt rukta hi kahan hai
main kaise waqt ke hasil ki sochun
bahut din se tufanon mein ghira hun
chalo kuchh der to sahil ki sochun
yahan munsif bhi mujrim sa lage hai
main kise ummid par qatilana ki sochun
kahan aasan hai KHud ko samajhna
baDi mushkil se is mushkil ki sochun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.