safha-e-qirtas par KHush-rang tahriren nahin
saf.ha-e-qirtās par ḳhush-rang tahrīreñ nahīñ
apne qabze meñ abhī lafzoñ kī jāgīreñ nahīñ
zindagī ham ne guzārī ek beva kī tarah
ḳhvāb vo dekhe ki jin kī koī ta.abīreñ nahīñ
jī rahe haiñ shahr meñ sab log andeshoñ ke saath
ik tire hī paañv meñ sochoñ kī zanjīreñ nahīñ
aur uchhleñge adab ke masḳharoñ ke sar yahāñ
zang-ālūda abhī sheroñ kī shamshīreñ nahīñ
māñge tāñge par guzāra kar rahe haiñ dosto
zindagī karne kī apne paas tadbīreñ nahīñ
chīḳh kī sūrat hayāt-e-nau kā ik paiġhām haiñ
ham havā kī lauh par be-jān tasvīreñ nahīñ
sar jhukā kar zulm sahnā bhī sarāsar zulm hai
baḳhsh varna zulm kī kuchh aur tafsīreñ nahīñ
safha-e-qirtas par KHush-rang tahriren nahin
apne qabze mein abhi lafzon ki jagiren nahin
zindagi hum ne guzari ek bewa ki tarah
KHwab wo dekhe ki jin ki koi tabiren nahin
ji rahe hain shahr mein sab log andeshon ke sath
ek tere hi panw mein sochon ki zanjiren nahin
aur uchhlenge adab ke masKHaron ke sar yahan
zang-aluda abhi sheron ki shamshiren nahin
mange tange par guzara kar rahe hain dosto
zindagi karne ki apne pas tadbiren nahin
chiKH ki surat hayat-e-nau ka ek paigham hain
hum hawa ki lauh par be-jaan taswiren nahin
sar jhuka kar zulm sahna bhi sarasar zulm hai
baKHsh warna zulm ki kuchh aur tafsiren nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.