safir-e-sham subh ka naqib kaise ho gaya
safīr-e-shām sub.h kā naqīb kaise ho gayā
jo shab ko shab na likh sakā adiib kaise ho gayā
abhī to ḳhvāb dekhne kī umr thī mirī magar
abhī se jāgnā mirā nasīb kaise ho gayā
isī kī āb-o-ḳhāk se mirī numūd hai to phir
mirā vatan mire liye ajiib kaise ho gayā
mire lahū se jis ke barg-o-bār meñ bahār hai
vahī shajar mire liye salīb kaise ho gayā
mirī zamīñ to sīm-o-zar se qīmtī zamīn hai
magar ye merā mulk yuuñ ġharīb kaise ho gayā
safir-e-sham subh ka naqib kaise ho gaya
jo shab ko shab na likh saka adib kaise ho gaya
abhi to KHwab dekhne ki umr thi meri magar
abhi se jagna mera nasib kaise ho gaya
isi ki aab-o-KHak se meri numud hai to phir
mera watan mere liye ajib kaise ho gaya
mere lahu se jis ke barg-o-bar mein bahaar hai
wahi shajar mere liye salib kaise ho gaya
meri zamin to sim-o-zar se qimti zamin hai
magar ye mera mulk yun gharib kaise ho gaya
- Book : Pakistani Adab (Pg. 450)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.