sag-e-laila ke naqsh-e-pa hain hum
sag-e-lailā ke naqsh-e-pā haiñ ham
ya.anī majnūñ ke rahnumā haiñ ham
kyuuñ na ho dushmanoñ ke ghar mātam
dost ke kushta-e-jafā haiñ ham
tum ko dil kī bhī hai kasū ke ḳhabar
dil meñ ḳhush ho ki dil-rubā haiñ ham
jis qadar ham ko samjhiye be-qadr
qadr meñ us se bhī sivā haiñ ham
kyuuñ na miTTī ḳharāb ho apnī
is ḳharābāt kī binā haiñ ham
kis se rakhiye ġhubār ai 'mārūf'
ek aalam kī ḳhāk-e-pā haiñ ham
sag-e-laila ke naqsh-e-pa hain hum
yani majnun ke rahnuma hain hum
kyun na ho dushmanon ke ghar matam
dost ke kushta-e-jafa hain hum
tum ko dil ki bhi hai kasu ke KHabar
dil mein KHush ho ki dil-ruba hain hum
jis qadar hum ko samjhiye be-qadr
qadr mein us se bhi siwa hain hum
kyun na miTTi KHarab ho apni
is KHarabaat ki bina hain hum
kis se rakhiye ghubar ai 'maruf'
ek aalam ki KHak-e-pa hain hum
- Intikhab-e-Sukhan,Volume-001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.