sahab-e-fasl-e-gul hai barg-e-awara nahin hai wo
sahāb-e-fasl-e-gul hai barg-e-āvāra nahīñ hai vo
chalo maanā kisī kī aañkh kā taarā nahīñ hai vo
charāġh-e-rahguzar hai rāstī hai us kī fitrat meñ
ḳhalāoñ meñ bhaTakne vaalā sayyāra nahīñ hai vo
dukāneñ mat sajāo qīmtī jazboñ ko mat becho
ġhazal kā phuul hai kāġhaz kā pushtāra nahīñ hai vo
ham apnī pyaas le kar ġham ke sahrā meñ bhaTakte haiñ
hameñ kyā hai agar dhārā hai yā dhārā nahīñ hai vo
ye bechainī zarā sī mīThā mīThā dard thoḌā sā
sharār-e-rang kī tamsīl hai paara nahīñ hai vo
ugā saktā huuñ lafzoñ kī zamīñ se lāla-e-ma.anī
ki mere zehn meñ jo kuchh hai angāra nahīñ hai vo
use meñ jāntā huuñ sab usī par jaan dete haiñ
'ayāz-e-āzmī’ āḳhir tumheñ pyārā nahīñ hai vo
sahab-e-fasl-e-gul hai barg-e-awara nahin hai wo
chalo mana kisi ki aankh ka tara nahin hai wo
charagh-e-rahguzar hai rasti hai us ki fitrat mein
KHalaon mein bhaTakne wala sayyara nahin hai wo
dukanen mat sajao qimti jazbon ko mat becho
ghazal ka phul hai kaghaz ka pushtara nahin hai wo
hum apni pyas le kar gham ke sahra mein bhaTakte hain
hamein kya hai agar dhaara hai ya dhaara nahin hai wo
ye bechaini zara si miTha miTha dard thoDa sa
sharar-e-rang ki tamsil hai para nahin hai wo
uga sakta hun lafzon ki zamin se lala-e-mani
ki mere zehn mein jo kuchh hai angara nahin hai wo
use mein jaanta hun sab usi par jaan dete hain
'ayaz-e-azmi’ aaKHir tumhein pyara nahin hai wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.