sahar ka husn gulon ka shabab deta hun
sahar kā husn guloñ kā shabāb detā huuñ
na.ī ġhazal ko na.ī āb-o-tāb detā huuñ
mire liye haiñ añdheroñ kī phāñsiyāñ lekin
tirī sahar ke liye āftāb detā huuñ
vafā kī pyaar kī ġham kī kahāniyāñ likh kar
sahar ke haath meñ dil kī kitāb detā huuñ
guzar rahā hai jo zehn-e-hayāt se 'jāmī'
shab-e-firāq ko vo māhtāb detā huuñ
sahar ka husn gulon ka shabab deta hun
nai ghazal ko nai aab-o-tab deta hun
mere liye hain andheron ki phansiyan lekin
teri sahar ke liye aaftab deta hun
wafa ki pyar ki gham ki kahaniyan likh kar
sahar ke hath mein dil ki kitab deta hun
guzar raha hai jo zehn-e-hayat se 'jami'
shab-e-firaq ko wo mahtab deta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.