sahar ke sath chale raushni ke sath chale
sahar ke saath chale raushnī ke saath chale
tamām umr kisī ajnabī ke saath chale
hamīñ ko muḌ ke na dekhā hamīñ se kuchh na kahā
is ehtiyāt se ham zindagī ke saath chale
tumhāre shahr meñ anjān sā musāfir thā
tumhāre shahr meñ jis aadmī ke saath chale
ġhamoñ ne pyaar se jis vaqt haath phailā.e
to sab ko chhoḌ ke ham kis ḳhushī ke saath chale
sahar ke sath chale raushni ke sath chale
tamam umr kisi ajnabi ke sath chale
hamin ko muD ke na dekha hamin se kuchh na kaha
is ehtiyat se hum zindagi ke sath chale
tumhaare shahr mein anjaan sa musafir tha
tumhaare shahr mein jis aadmi ke sath chale
ghamon ne pyar se jis waqt hath phailae
to sab ko chhoD ke hum kis KHushi ke sath chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.