sahar ko hasb-e-zarurat wo raat kahte hain
sahar ko hasb-e-zarūrat vo raat kahte haiñ
siyāne log haiñ matlab kī baat kahte haiñ
bhale hī laakh havāloñ ke saath kahte haiñ
magar vo sirf kitāboñ kī baat kahte haiñ
chalo chalo na chalo ḳhud-ba-ḳhud hai kaT jaatā
'ajab safar hai ye jis ko hayāt kahte haiñ
miTā vajūd hī apnā to kyā kareñge ise
jise ye ahl-e-tasavvuf najāt kahte haiñ
ye be-ruḳhī se to terī hazār behtar haiñ
tirī jafāoñ ko ham iltifāt kahte haiñ
tū dekh dekh na dekh ai 'sadā' dikhegā zarūr
vo rāsta jise rāh-e-sirāt kahte haiñ
sahar ko hasb-e-zarurat wo raat kahte hain
siyane log hain matlab ki baat kahte hain
bhale hi lakh hawalon ke sath kahte hain
magar wo sirf kitabon ki baat kahte hain
chalo chalo na chalo KHud-ba-KHud hai kaT jata
'ajab safar hai ye jis ko hayat kahte hain
miTa wajud hi apna to kya karenge ise
jise ye ahl-e-tasawwuf najat kahte hain
ye be-ruKHi se to teri hazar behtar hain
teri jafaon ko hum iltifat kahte hain
tu dekh dekh na dekh ai 'sada' dikhega zarur
wo rasta jise rah-e-siraat kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.