sahar ko raat ke taron ki baat karti hun
sahar ko raat ke tāroñ kī baat kartī huuñ
nahīñ haiñ aise nazāroñ kī baat kartī huuñ
mizāj ḳhaak uḌāne pe bhī nahīñ badlā
ḳhizāñ kā daur bahāroñ kī baat kartī huuñ
agar na bār-e-garāñ ho to baiTh kar suniye
ki maiñ nasīb ke māroñ kī baat kartī huuñ
jigar ke zaḳhm satāne lage jo shām-e-firāq
to aaj un ke ishāroñ kī baat kartī huuñ
ye kyā balā haiñ tumheñ kyā ḳhabar hai kyā jaano
maiñ aaj dil ke sharāroñ kī baat kartī huuñ
chaman kā zikr kujā dāstān-e-gul kaisī
zamīñ pe rah ke sitāroñ kī baat kartī huuñ
ma.āl-e-kār huuñ bhūlī huī 'tarab' ab bhī
bhañvar meñ phañs ke kināroñ kī baat kartī huuñ
sahar ko raat ke taron ki baat karti hun
nahin hain aise nazaron ki baat karti hun
mizaj KHak uDane pe bhi nahin badla
KHizan ka daur bahaaron ki baat karti hun
agar na bar-e-garan ho to baiTh kar suniye
ki main nasib ke maron ki baat karti hun
jigar ke zaKHm satane lage jo sham-e-firaq
to aaj un ke ishaaron ki baat karti hun
ye kya bala hain tumhein kya KHabar hai kya jaano
main aaj dil ke shararon ki baat karti hun
chaman ka zikr kuja dastan-e-gul kaisi
zamin pe rah ke sitaron ki baat karti hun
maal-e-kar hun bhuli hui 'tarab' ab bhi
bhanwar mein phans ke kinaron ki baat karti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.